Hazrat Abu Imaama (R.A) farmaty han k aik shakhs ALLAH ky Rasool (S.A.W.W) ki khidmat ma hazir hoya aur aerz kya:
Ya-Rasulallah (S.A.W.W) aulaad pr MAA, BAAP ka kya haq ha?
Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya:
Doono taary lye jannat b han aur dozakh b. (yani in ki khidmat jannat aur in ki naarazgi dozakh ha)
Hazrat Abu Hurera se riwayt hai k RASOL ALLAH ne Farmaya:
jb murghe ko chekte howe suno to ALLAH se fazal mango q k wo FARISHTE ko dekhta hai OR jb gadhe ko chekte howe suno to ALLAH ki panah mango shetan se q k wo shetan ko dekhta hai
(ABU-DAOD)
JILD NO-2
HADEES-354
Hazrat Abu Huraira se rawayat hai k Nabi Pak SAW ne farmaya.
?In dino mai se jin mai suraj ne apni roshni dali hai,bhetreen din Jumah hai.Isi din adam paida kiey gae.or isi din janat mai dakhil kiey gae.or isi din wahan se aleda kiey gae.or qyamat b jumah k din aey gi?
(Muslim)
Hazrat Abu Huraira (R.A) Se Riwayat Hai Ke, ROSOOL ALLAH (S.A.W) Ne Farmaya, Har Kam Jo ALLAH TA'ALA Ki Hamd-o-Sana Se Shoru Na Kiye Jaye Wo Nakiz Or Be-Barqat Hai
Hazrat abu hurahra(R.A) farmatey hain keh huzur-e-akram(S.A.w) ney irshad farmaya: tum logoin per kali rat key tarha fitney shaa jain geh in fitno seh sab se ziyada bachney wala wo shaks hu gah ju kisi pahari ki chuti(ya daman) main apney raywar seh hasil shuda ruzi khata hu gah ya wo shaks ju apney gohray ki lagam pakray huwe (jihad main masroof) hu gah aur apne talwar se hasil hu ney wali ruzi khata hu gah.(sahi-ul-asnad)
hazrat abdullah may ALLAH b plaeased with him narrates that holy and blessed prophet MUHAMMAD peace be upon him says to abuse (gali dena) muslim is be-deeni hai & to murder him is kufr
Hazrat Abdullah Bin Qaart (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
Sub se pehly qyamat ma js chez ka bandy se hisaab ho ga wo NAMAZ ha, agr wo is pr pura autrta ha to is ky saary amal drust hon gay. Agr NAMAZ kharab nikli to is ky saary amal khrab niklyan gay.
Hazoor S.A.W.W Ne Farmaya:
Jo Shakhs Ramzan Mein Kisi Ka Roza Khulwaye
To Us K Sily Mein Allah Us K Gunah Baksh De Ga
Aur Usko Jahanum Ki Aag Se Nijat De Ga
Aur Aftar Krany Waly Ko
Roza Dar K Barabar Sawab Dega
Aur Roza Dar K Sawab Mein Koi Kami Na Hogi.
Mazeed Farmaya:
Sirf Aik Khajoor Se Ya Doodh Ya Pani K
Aik Ghoont Se Aftar Kara Dena Bhi Kafi Hai