Waa dareigha k humnasheen mere Mera tarz-e-bayaan churaatey hain Haif sadd haif naqd-e-jaaN k ameen Keesa-e-naqd-e-jaan churaatey hain Umahaat-e-yaqeen k rahmon sey Nutfa Nutfa gumaan churaatey hain Khas o khaashaak taba hain lekin Dam-e-shoala fishaan churaatey hain In pey hansiye k roiye aakhir Raayegaan, shaayegaan churaatey hain Naql kar k karaahney ki merey Meri beemariyan churaatey hain Moatarif hoon kamaal ka in ke Merey dil ka samaan churaatey hain Maikash aisey k apney nashey mein Meri angraaiyaan churaatey hain Kya bataaon hain kaisey deeda daler Mujh sey hi mujh ko haan churaatey hain
Vyakul Mann Uske Diye Dard Mein Rota Hai,
Karvatein Badal Badal Ke Is Shab Ko Dhota Hai,
Nam Aankhon Mein Dard Bhi Bheeg Bheeg Jaata Hai,
Uff Magar Gam Ka Paimana Khali Na Ho Pata Hai,