Bolo to dar lagta hai kahin dil ka dard zubaan par na aa jaaye, Socho to dar lagta hai kahin khayalon mein mehboob dil par dastak na de jaaye, Humne laakh koshish ki ke daaman bacha le apna, Dekho to dar lagta hai kahin koi masoom chehra is dil mein na samaa jaaye.
Bohut si khuwaishen then or hamain mohlat mili the chand lamhon ki bus! In hi chand lamhon main hamain izhar karna tha kisi bhe 1 khuwaish ka so hum nay 1 khuwaish sochnay main saray lamhay sarf kr dalay ab esa hay kay hum nay 1 khuwaish soch tu li hay magar izhar ki mohlat nahi hay hamain tu bas woh hi mohlat mili the chand lamhon ki.