kisi ko aankho mein basaa ke dekhaa thha kisi ko dil mein bitthhaa ke dekhaa thha ab tak thame nahin hai mere aansoo bas ek baar muskurake dekhaa thha.
Kia Uski Jagti AAnkhon Mein Meri Yaad Se Pehli Udaasi Hai Kia Wo bhi Meri Tarah Younhi SHab Bher Jaga Kerta Hai Kia WO b Saat-e-Rehmat Mein Humain Rab Se Manga Kerta Hai Agar Aesa nahi To Tuhi Bata Ham Yaad Usey Kyun Kerte Hain Wo Ham Ko Bhool Ker Khush Hai Agar To hum Pal Pal Unke Liye Q Merte Hain
Jo aansoo na hote ankhon mei, to aankhen itni khubsurat na hotin. Jo dard na hota dil mei, to khushi ki koi keemat na hoti. Jo bewafai na ki hoti waqt ne, to wafa ki kabhi chahat na hoti. Agar sochne se puri ho jatin muraaden to, dua ki kabhi zarorat na hoti.
Hanste Hue, Aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo Yun Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka Jaane Kahan Se Aankhon Main Bhar Jaate Hain Ye Aansoo Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Se Na Taqdeer Se Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo Shayad Khabar Hai In Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main Tanhaayi Main Mera Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha, kashti ke musafir ne samander nahi dekha, yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine, unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.