Toote huye glaas me jaam nahi aata ,
Ishq ke mareez ko aaram nahi aata ,
Ye dil todne waale tune ye to socha hota ,
Toota huya dil kisi ke kaam nahi aata .
Toota ho dil to dukh hota hai
Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai
Dard ka ehsaas to tab hota hai jab
Kisi se mohabbat ho aur uske dil mei koi aur hota hai…
tod diya dil usne mera na jane kya soch kar kar liya sabr hamne na jane kya soch kar thi na koi khata hamari phir bhi sah liye sare sitam hamne na jane kya soch kar yakeen hai hame vo bewafa to nahi kiya usne aisa kis majboori main na jane kya soch kar jo kal tak khilta gul tha mere aashiyane ka kar gaya veeran mere gulshan ko jane kya soch kar kal tak tha jo saath mere meri zindgi ki raho par aaj vo chala gaya dusre kinare par tanha mujhe chhodkar na jane kya soch kar kal tak jiske labo par naam tha hamara har LAMHA aaj vo hamare naam se naftar karta hai na jane kya soch kar kal tak jo saanse chalti nahi thi hamare bagair aaj vo saanse chal rahi hai na jane kya soch kar kabhi jo chalte the hamara sahara lekar aaj vo nikal pade hai raho par manzilo ki talash main tanha na jane kya soch kar chhod diya usne mujhe zindgi ki raho main tanha na jane kya soch kar