zulm kii raat bahut jald Talegii ab to aag chuulho.n me.n har ik roz jalegii ab to bhuuk ke maare ko_ii bachchaa nahii.n royegaa chain kii nii.nd har ik shaKhs yahaa.N soyegaa aa.Ndhii nafarat kii chalegii na kahii.n ab ke baras pyaar kii fasal ugaa_egii zamii.n ab ke baras hai yahii.n ab na ko_ii shor-sharaabaa hogaa zulm hogaa na kahii.n Khuun-kharaabaa hogaa os aur dhuup ke sadame.n na sahegaa ko_ii ab mere desh me.n beghar na rahegaa ko_ii
naye vaado.n kaa jo Daalaa hai vo jaal achchhaa hai rahanumaao.n ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchhaa hai