Na thi JISKO mere pyaar ki kadar…
Itefaq se USSI ko chah rahe they hum…
Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
Jisko hawa se bacha rahe they hum.
Na Nabi Ka Farman Na Laaj Rakhi Rehman Ki
Khud Ko Kaha Muslim Hum Ny Or Harkat Ki Shaitan Ki
Mujhay Bhe Kisi Nai Chaha Tha!
Sirf Apna Dil Behlanay K leay.
Muhabaton ne kaisa kamaal kar dala..“
“Humain to udasyon ki misaal kar dala..“
“Kabhi milain to pouchain gay ik doujay se“
“K kis ko kis k gham ne nidhaal kar dala“
“Tu bata us se kya kahon ga mein“
“Meri udasi pe jo kisi ne sawaal kar dala“
“Suna tha zindgi ka safar boht mushkil hai“
“Or hum ne ker k muhabbat isay or b muhaal kar dala“
“Kuch hum b maum k thy or kuch tum ne b“
Zindgi ko shoulon ki shal kr dala,Muddaton Baad Main Aya Hoon Puranay Ghar Main.
Khud Ko Jee Bhar Kay Rulaon Ga, Chala Jaon Ga.
Meri tamanna thi ki tu mujhay “tu“ ho kar kay milay
Tunay khudi ko apni magar biknay kay liayay paalaa tha
Meri hasrat ki tu isay apnay ahsaas maiN rakh kar kay jiyay
Toonay parstish kay liyay jisay ab talak sambhaalaa tha
Meri ankhay mere chehry ko ik din “GHOAR“ se dekho
Magr mät Pochna “WEERAAN“ hona kis ko kehte hain
meri aankhen nahin bhooli woh qayamat ka ek manzar
mere haathon main ek gulab tere haathon main ek khanjar
mere naseeb mai tu nahi shayad,
kyun khail aisa taqdeer ka hota hai,
laqeerein nahi milti hain unsay,
jin say dil milta hai,
duniya kehti hai
chand lamhon ka sath tha,
lekin ye dil jaanta hai,
ke ye umar bhar ka ehsaas tha…
mere ishq ko nadhaal kar
kabhi hijr ko bhi wisaal kar
meri aankh ko benaai de
mere qalb ko ujaal kar,
mujhe dars de fana ka tu
mera ishq main bura haal kar.
meri asal soorat bigaar de
kisi ishq ki bhatti main daal kar
mujhe bhi peela koi aisi shey,,
kabhi meri aankhain bhi laal kar
wo jo us jahaan main halaal hay
kabhi is jahaan main halaal kar
main teri talab main hoon dar badar
kabhi is taraf bhi kheyaal kar……..!!!