Tarash kar mere bazu uraan chor gaya, hawa ke paas wo barhana makan chor gaya, rifaqaton ka meri usko dhayan kitna tha, zameen le li magar asman chor gaya, ajeeb shakhs tha barish ka rang daikh ke bhi, khulay dareechay pe ik phool daan chor gaya, jo badalon se bhi mujhko chupa ke rakhta tha, barhi hai dhoop to be saaibaan chor gaya, oqab ko thi gharaz fakhta pakarne se, jo gir gai to yunhi neem jaan chor gaya, na jaane kon sa asaib dil main basta hai, k jo bhi thehra wo akhir makaan chor gaya,
Taras Jao Gey Tum Mehfil_e_Wafa Ke Liye !! Kisi Se Piyar Na KaRNa Kabhi Khuda Ke Liye !! Jab Lage Gi Mohabbat Ki Adalat Ek Din !! Tum Hi Chuney Jao Gey Saza Ke Liye !!
Tanhaiyon Mein Jeena Acha Nahi Lagta..
Bichar Kar Tum Se Rehna Acha Nahi Lagta..
Ye Dil Sirf Tum Ko Yaad Karta Hai..
Her Bar Ya Baat Kehna Acha Nahi Lagta..