Tumhara Naam likh likh ker,
Mitana bhool jata hoon…
Tumhein jab Yaad karta hoon,
Bhulana bhool jata hoon…
tum ko bhul jain bhi tu kaise.
tum ko satain bhi tu kaise.
tum tu wo khushbo ho jo meri sanson main basti hai.
khud ki sansoon ko tarpain bhi tu kaise.
Too hamesha k liye mera ho jaye,
Aisa taveez pilaon tum ko,
Tm mere dil ki dharkan ban gaye ho
Phir batao kis tarah bhool jaon tum ko..
That morning whisper
A gentle kiss
A suspended moment
Of perfect bliss
That precious feeling
As eyes first meet
Bodies entwined
In sleepy heat
Fingers touching
Breath as one
Hearts in rhythm
We greet the sun
Content, in truth
Just to be
Simply enjoying
You and me
Teri surat ko nigaho me bsa kr rakhun,
Dil ye krta hy tujhe tujhse chura kr rakhun,
Tujhe dekhun tujhe chahun tujhi se piyaar krun,
Tere rang roop ko me sb se chupa kr rakhun,
Kr lon Qaid apne dil me tere jivan ko,
Tujhey mein “ISHQ“ ki zanjeer pehna kr rakhun,
Koi b jan na paye teri Ankhon ki gehrai,
Mein tujhe esi kanwal jheel bna kr rakhun,
Dil ye kehta hy tere baad koi tujh sa na ho“
Mein tujhe akhri tehreer bana kar rakhun.
Sun sako to ek kahani hoon main...,
Rakh sako to ek nishani hoon main...,
Paa sako to ek saaya hoon main...,
Rok na saki jise saari duniya.Woh ek bund
aankh ka paani hoon main...
Sitam to yai hai …
Sitam to yai hai kai ham tum sai dil laga baithey
Apni khushiyoon ko bhi ham tum pai hi loota baithey
Sitam to yai hai….
Tujh ko chaha tha itna kai ham bata na sakkey
Teri chahat ko bhi dil mai ham chupa na sakkey
Sitam to yai hai….
Tum nai samjha na tha kaabil apney ham ko
Issliye tum mohabbat ko tum mitta baithey
Sitam to yai hai….
Bharrey Bazm mai jo tum nai mujh ko ruswa kiya
Iss ruswayee ko to ham wahi mitta baithey
Sitam to yai hai….
Meri waffa ka badla jo jaffa sai diya tum nai
Teri iss sitam ko bhi ham dil mai bassa baithey
Sitam to yai hai….
Sar jhukao gay tu pathar daivta ho jay ga
itna mut chaho ussay wo baywafa ho jay ga
hum darya hain humain apna hunar maloom ha
jis taraf bhi chal parain gay rasta ho jay ga
mai khuda ka nam la ka pee raha hon dostoo
zehr bhi ho ga agar is mai dava ho jay gaS
Sapurd-e- Khaak Kar Dala Teri AANKHON Ki Masti Ne
Hazaro Saal Jee Letay Agar Tera Deedaar Na Hota