Hadees_A_Nabvi(SwA)
Jo shaks aik bar SUBHAN ALLAH kehta hai JANNAT main us k naam ka aik DARAKHT laga dia jata hai .. Kehtay han us darakht ka saya itna barra hai k agar ARBI nasal ka GHORA 500 saal tak bhi dorta rahe tab b us ka saya khatam ni hoga.... SUBHAN ALLAH
Hadees:
Hazrat Abu Saayed Khidry (R.A) se raiwyat ha k aik moqa pr Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya:
Sucha aur Ammant-dar tajr Aanbya, Sadqeen aur Shuhda ky sath ho ga.
Hadees:
“Ramzan mein Zikr ALLAH krnay walay ko Bakhsh dia jata hay aur is Mah mein ALLAH se mangnay wala mehroom nahi rehta“ by (Hazrat Umar e Farooq R.A.A)
Hadees: Abdullah Bin Umro Raziallah Anhu Se Rivayat Hai Ke Aik Aadmi Ne Hazrat Muhammad (P.B.U.H) Se Deryaaft Kia Ke Islam Ki Konsi Khaslut Behtar Hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya: Tum (Mohtajon) Ko Khana Khilao Aur Jaan Pehchan Waley Aur Gair Jaan Pehchan Waley Her Ek (Musalman) Ko Salaam Karo (Sahih Bukhari)