Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Mana ki abhi khali haath hai,
Per dil toh pyaar se aabad hai,
Jaib khali hai toh kya gam hai,
Tumse milkar dil mala mal hai.
Kisi ne dil ko isqadar chhu liya,
Ke hum kisi aur ko chu na sake,
Hum toh chaly thay dost banane,
Aap toh dil ki dharkan ban gaye.
Kisi Ke Roke Kabhi, Rukta Nahi Yeh Dil
Kabhi Dariya To Kabhi Hawa, Lagta Yeh Dil
Aapke Supurd Ho Gayi, Zindagi Ki Khilkhilahat
Aapki Aahton Per Ab, Machlta Hai Yeh Dil
Kuchch Na Soche, Na Samjhe Kuchch Bhi
Pani Ki Dhaar Sa Allahd Sa, Chalta Yeh Dil
Kabhi Asaani Se Na Ho Saki, Hasil Mohabbat
Soch Yeh Baat Machal, Aag Sa Badhtaa Yeh Dil
Yakayak Yun Hi Kabhi Koi, Kahin Jata Hai Mil
Na Jane Hota Hai Kya Ki, Mil Khil Jate Do Dil
Aap Bhi Soch Me Meri, Shamil Hain Hardam
Aap Ko Soch Kar Likhta Hai, Hamesha Yeh Dil
Jb b merey DIL ki MASJID me teri yaadon ki azaan hoti hai MAA…
Main apney hi aansuon se wazu kr k terey jeeney ki dua krta hoon..!
jafa ko tum wafa samjhey
sitam ko hum karam samjhey.
Is imtehan mein hoon aj kal,
k Dil ka hisab kis ko doon?
Har 1 shakhs ko mujh se bohat mohabbat hai,
Sawal yeh hai wafa ka jawab kis ko doon?
Mera khaloos, Muhabbat, Wafa hy sab k liye
Soochta hon k lab-e-Lubab kis ko doon?
Hajoom-e-Husan k Melay mein sochti hon main
K apny hath main thama GHULAB kis ko do?
Nikaal daliye dill se hamari yadon ko
yaqeen kejiye ab hum main woh baat nahi.
Dil Pr Aisy Bhi Azabon Ko Utrty Dekha,
Hum Ne Chup Chap Usy Khud Se Bicharty Dekha,
Usko Socha To Hr Soch Mein Khushbo Utri,
Usko Likha To Hr Lafz Mehakty Dekha,
Yad Aa Jay To Qaboo Nhi Rehta Dil Pr,
Wrna Dunya Ne Nhi Humko Tarapty Dekha,
Uski Sorat Ko Fqat Aankh Nhi Tarsi,
In Raston Ko Bhi Uski Yad Mein Roty Dekha,
Hum Mohabat Ke Liy AAj Bhi Dewaany Hain,
“WaS¡“
Ye Alag Baat Hai
Ke Us Ne Murr Ke Jaty Howe Nhi Dekha!
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin
Dil mai hota to kisi taur nikal bhi jata
ab to wo shakhs bahut door talak hai mujh me