Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese,
Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese?
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahinMein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahinAey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahinWoh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin
Dil me ishq -e- ALI
Lab pe Naad-e- ALI
Dunya me mohabbat -e- ALI
Pakistan me nizaam -e- ALI
Qabar me deedar -e- ALI
Aakhrat me moarfat -e- ALI
Hoz-e-kaosar pe jaam -e- ALI
Pull siraat pe daaman -e- ALI
Mehshar me shafaat -e- ALI
Aur JANNATme rafaqat -e- ALI
Sub Azadaron ko Atta farmaAAMEEN
DIL MAIN AUR TOU KYA RAKHA HAI
TERA DARD CHUPAA REKHA HAI
ITNAY DUKHOON KI TEZZ HAWAIN
DIL KA DEEP JALA REKHA HAI
CHAAND SE CHAHROON NE DUNIYA MAIN
KYA ANDHERAA MACHA REKHAA HAI