Bicherte Waqt Kyun Na Perh Saka Nighaon Ki Zuban Usey To Iss Fun Per Pura Uboor Tha Ab Ek Mujrm Ki tarah Nadim hai Mujhe Chah ker Kabhi Is Khata Per Usey bara Garor Tha
Bhool thi Meri jo mein ne tujhe apna mana Teri Dosti Ko Mein Ne Teri Chahat jana Mujhe Na Khabar Thi Ke Tu Aesa Hoga Ke De Ker Zakham Iss Tarah Se Be-Khabar Hoga
Bewafai Se Pereshan B Ho Jate Hain Naram Jhonkay Kabhi Tofan B Ho jate Hain Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain
Baatein aisi karo ke jazbaat kabhi kam na ho; Khayalat aise rakho ke kabhi ghum na ho; Dil me apni bas itni se jagah dena hume; Ke khali-khali sa lage jab hum na ho