Mai lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta,
Matlab ye nahi
K mai tujse pyar nahi karta.
Chahta hon mai tujhy Aaj bhi bohat,
Pr teri soch me apna dil be’qrar nahi karta.
Tamasha na ban jaye kahin meri mohabbat,
Isliye apne dard ka izhaar nahi karta.
Jo kuch mila hy mai usi me khush hon,
Usky liye khuda se bhi taqraar nahi karta.
Pr kuch to baat hy uski fitrat me zaalim,
Warna usay chahne ki khata baar baar nahi karta.